PRANAAM BALKO! aaj m apko apni kuch bekar se magar mere dimag ke chemical loche ke kaaran utpaan hui kuch kavitayeeeeeeeeee sunauge(m likh rahi hu khud bol lena sunai de jayege actually mere awaz b inspired h rani mukherjee se jyada nahi thodi se). har ek kavita different taste ki h( kripya unka taste janne ke liye apna pc ya laptop na chabae).ek kavita h ek sajni ke intzar ki holi par aur dusri h aaj kal ke modern pyar ishq mohabbat ( bht ghatiya movie h ye kripya kabhi dekhna ka dussahas na kare ) ko samarpit h.taj mohabbat ki nayab nishani h magar kya koi pyar ko samajhta h?
" utho sajna ji bhor hui,
rango ya tyohar h .
sajni bethi raah dekhe,
tumhara hi intzaar h.
hawao main rango ke mahak,
khushiyo ke bahar hain.
bin rango ke adhura, teresajni ka shrangar h"
aur ye kavita h dedicated aaj kal ke devdaso par-
" pyar main insan kavi ban jata h,
hasya uska jivan, ras kho jata h .
aise kavi ko dewana kahte h,
har gali har mohalle m saikdo mil jate h.
devdas ka label mathe par, jaib m paro ka no. hota h,
daru chadhakar chandramukhi ke bahon m rahta h.
pher bhi " paro" "paro" kahkar rota h,
janaab yahi to modern jamane ka ishq hota h"
aur ye kavita dedicated h laila majnu jaise logo ke liye h. ( koi b galti se ese apne liye na samjhe kyuki main punarjanam m vishvas nahi karti aur laila majnu aaj kal hote nahi h sab temporary hote h jisme thode waqt baad ya to laila badal jati h ya majnu )
" aasmaan ki koi sarhad nahi hoti,
pyar karne valo ki taqdeer nahi hoti.
zulm-e-zamane se pathar dil ho jate h,
ke zakhmo par b aankhen nam nahi hoti"
aaj ke mere dimag ke chemical loche ne agar apke dil m koi locha machaya ho to batayega jarur. as always waiting for response from all who read this. thanx and bbye
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete