Wednesday, September 16, 2009

are balko!clg jindagi m clg b to hota h . humne dosti,pyar,masti sab ki bate ki magar apne clg aur education system ki bate karna to bhul hi gae. aaj har kise ka sapna h ki unka beta / beti padh likh kar doctor ya engineer bane( jitne mehngi padhai utna jyada jurmana fasulege na ladki valo se).chahe vo deserve karta ho ya nahi.aur jo deserve nahi karte unke liye hota h management quata( yaaro ye quata bht mast chej h jiska koi nahi hota uska quata hota h bolo quate vale baba ki jai).ese management quate ki mahima ( uske gf ka naam nahi h) bakhan karne ke liye ye kuch shabd.enhe es gane ke dhun m gayegega( ek ankh maru to .....jae,dusri ankh maru to.....jae aur dono ankh maru to chori pat jae pat jae).
" 2 lakh dedo mechanical dilvadu,
3 lakh de to e.c m bhejva du.
aur 5 lakh do to c.s dilvadu,cs dilvadu( vaise aaj kal eske rate down h)
teacher ko patao to number mil jae,
chamcho ke chehre khil jae ,chehre khil jae.
aur ye kavita h hamare bhavishya ko savarne ke liye bane clg ke liye jaha sirf building savarti h, building vala savarta h aur hum jaise student suffer karte h.
" ye h shikhsha ka mandir hamara hamara
jisne hamara bhavishya bigada bigada.
sare jahan se acha education system hamara hamara,"
aur ye lines h clg pahuchne vale students ke liye
" padhai hogi baad m pehle dhundo kaun h kuvari kaun h kuvara( i.e single ready to mingle).
banege hum tum b girlfrnd boyfrnd ,
kahi aur kar lege shadi in the end"( verna padhai ka kharche ki bharpai kaun karege i.e dahej. pane sasural valo ko yaad karne ke liye unke diye hue bade -2 gfts b hone chahaye na verna yaad kaise aayege).
ye dialoque h sunnydeol i movie damini se" tareekh par tareekh,tareekh par tareekh)
aur dedicated h unko jo faltu ka back ka bhoj uthaye ghumte h kyuki" papa kahte h beta bada naam karega , but pappu can't pass saala".
" back par back , back par back ,back par back
gharvale apni jarurate maarkar padhate h aur milta kya h back
gadi khechte khechte 6-7 back ekhakthi ho jati h aur milta kya h year back
agar back na aaye to sabka vishvas hi uth jayega ki ye uptu nahi h sir
eslie plz ek aur back( verna gharvale samjhege es baar exam hi nahi dia h).
waiting for ur response and suggetions. bbye

5 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete