Friday, September 18, 2009

hi frnds! ab mere bunk chal rahe h to apse share karne ke liye kuch chatpata maal nahi h( ladke ese apna vala maal na samjhe).apko pata h abhi kuch din pehle m ek reputed megazine padh rahi the jisme kise sundar ladki ko sambodhit karne ke liye 512 shabd the jisme ek shabd" maal" b tha( us list m mridula b tha magar koi khush mat hona ye sab dhokha h m to bilkul behenji type hu). aaj ke sabse badi samasya h(pani ya bijli ke killat aur environment mat samajh lena ye hum clg students ke liye nahi h0)aur vo samasya h gf ke . ab yaar 1000 ladko aur 850 ke aaspass ladkiya hoge to ye problem to hogi hi na(eslie ye sare clg ke ladko ki jimedari h ke logo m awareness laye ki ladki b ladko ki tarah important h)verna jo dikkat aap apne jivan m utha rahe h vo apki bhavishye m aane vale ladko ko b uthni padege aur kya aap chahte h ki jaise aaj aap lambi line m waiting list m h vo b ho . nahi ! bilkul nahi! ye atyachar aur nahi sahege . so plz spread awareness about this social issue(seriusly hume hi apni society ki soch badalni h ).i wish ki ek din aisa b aaye jab ladki ko jene ka haq mile . verna agar aisa hi haal raha to movie jaise" vivaah" kam aur "dostana " jaise jyada banege. decision hamare hath m so decide.

plz send ur suggestions so i can improve further. waiting 4 response.

bbye.

Wednesday, September 16, 2009

are balko!clg jindagi m clg b to hota h . humne dosti,pyar,masti sab ki bate ki magar apne clg aur education system ki bate karna to bhul hi gae. aaj har kise ka sapna h ki unka beta / beti padh likh kar doctor ya engineer bane( jitne mehngi padhai utna jyada jurmana fasulege na ladki valo se).chahe vo deserve karta ho ya nahi.aur jo deserve nahi karte unke liye hota h management quata( yaaro ye quata bht mast chej h jiska koi nahi hota uska quata hota h bolo quate vale baba ki jai).ese management quate ki mahima ( uske gf ka naam nahi h) bakhan karne ke liye ye kuch shabd.enhe es gane ke dhun m gayegega( ek ankh maru to .....jae,dusri ankh maru to.....jae aur dono ankh maru to chori pat jae pat jae).
" 2 lakh dedo mechanical dilvadu,
3 lakh de to e.c m bhejva du.
aur 5 lakh do to c.s dilvadu,cs dilvadu( vaise aaj kal eske rate down h)
teacher ko patao to number mil jae,
chamcho ke chehre khil jae ,chehre khil jae.
aur ye kavita h hamare bhavishya ko savarne ke liye bane clg ke liye jaha sirf building savarti h, building vala savarta h aur hum jaise student suffer karte h.
" ye h shikhsha ka mandir hamara hamara
jisne hamara bhavishya bigada bigada.
sare jahan se acha education system hamara hamara,"
aur ye lines h clg pahuchne vale students ke liye
" padhai hogi baad m pehle dhundo kaun h kuvari kaun h kuvara( i.e single ready to mingle).
banege hum tum b girlfrnd boyfrnd ,
kahi aur kar lege shadi in the end"( verna padhai ka kharche ki bharpai kaun karege i.e dahej. pane sasural valo ko yaad karne ke liye unke diye hue bade -2 gfts b hone chahaye na verna yaad kaise aayege).
ye dialoque h sunnydeol i movie damini se" tareekh par tareekh,tareekh par tareekh)
aur dedicated h unko jo faltu ka back ka bhoj uthaye ghumte h kyuki" papa kahte h beta bada naam karega , but pappu can't pass saala".
" back par back , back par back ,back par back
gharvale apni jarurate maarkar padhate h aur milta kya h back
gadi khechte khechte 6-7 back ekhakthi ho jati h aur milta kya h year back
agar back na aaye to sabka vishvas hi uth jayega ki ye uptu nahi h sir
eslie plz ek aur back( verna gharvale samjhege es baar exam hi nahi dia h).
waiting for ur response and suggetions. bbye

hi! frnds.college ki jindagi ka sabse imp. part hota h-dost. dost h kya? apke sath bethkar maggi kahne vala ya hamari canteen ke us uchde chaman( balko vo solid vala uchda chaman h uske sir par baal nahi aur bohe b safachat h ispired by movie alag laken uske reshmi jhulfe dekh kar aap katrina kaif ke jhulfe bhul jaege ek dum raaphik wig pahanta h banda) ke samose khane vala ya jab aap apni jindagi ke naye rahe dhund rahe ho apka sath dene vale? jawab sab jante h magar puhna jaruri h. vaise aaj ke tathakadhit frnds aapko bht mil jayege. frnds ka b classification h alag alag criteria par based jaise class vale frnd, padosi frnd, bus vale frnd, orkut frnd, twitter frnd aur na jane kitne tarah ke. vaise aaj kal boyfrnd aur girlfrnd b hote h( ye alag shreni ke dost hote h jo samay samay par badalte rahte h). mere hisab se clg m sabse pehla subject hona chahye-"" 21st century frnds".,classification ,their nature, how to patao them,how can u do makhan baji woth the ones who can help u in future( sifarshi dosto ki b ek category hoti h jo kaam aa jate h ).es subject ke adhyan se hum behtar tarike se duniya ke sabse khubsurat rishtey ki watt laga sakte h mast tarike se. ( uptu valo ko letter likho ke ye subject b la de kam se kam ek m to back nahi aayege kyuki ye sab to hum pehle se jante h). aur shyad hum sabhi kise na kise rup m ye galti kar rahe h.request h dosti karo to nibhao b.

" dosti rishta nahi bus nibhane ka,

ye to jariya h jindagi sajane ka,

log to bht milte h duniya m, har kise ko humraaz nahi banaya banaya jata,

dost h vo insan jisse koi raaz chupaya nahi jata.

jai viru ho ya ho munna ya ckt,

yaaro ye rishta h sabse raapchik.

ye kavita dedicated h un dosto ko jo kabhi apke dil ko naya kirayedaar lane m help karta h( without commision) to kadr karo inki.

" jab koi someone special aata h

to nalayak dosto ko bhul jata h.

aur kuch time baad jab naye vali patata h,

to saala , vahi dost kaam aata h."

"dosti h mast dil khol ke karo yaro. chahe aaye chandramukhi ya paro"

bbye dosto. miss u all.

Tuesday, September 15, 2009

love aaj kal


PRANAAM BALKO! aaj m apko apni kuch bekar se magar mere dimag ke chemical loche ke kaaran utpaan hui kuch kavitayeeeeeeeeee sunauge(m likh rahi hu khud bol lena sunai de jayege actually mere awaz b inspired h rani mukherjee se jyada nahi thodi se). har ek kavita different taste ki h( kripya unka taste janne ke liye apna pc ya laptop na chabae).ek kavita h ek sajni ke intzar ki holi par aur dusri h aaj kal ke modern pyar ishq mohabbat ( bht ghatiya movie h ye kripya kabhi dekhna ka dussahas na kare ) ko samarpit h.taj mohabbat ki nayab nishani h magar kya koi pyar ko samajhta h?
" utho sajna ji bhor hui,
rango ya tyohar h .
sajni bethi raah dekhe,
tumhara hi intzaar h.
hawao main rango ke mahak,
khushiyo ke bahar hain.
bin rango ke adhura, teresajni ka shrangar h"
aur ye kavita h dedicated aaj kal ke devdaso par-
" pyar main insan kavi ban jata h,
hasya uska jivan, ras kho jata h .
aise kavi ko dewana kahte h,
har gali har mohalle m saikdo mil jate h.
devdas ka label mathe par, jaib m paro ka no. hota h,
daru chadhakar chandramukhi ke bahon m rahta h.
pher bhi " paro" "paro" kahkar rota h,
janaab yahi to modern jamane ka ishq hota h"
aur ye kavita dedicated h laila majnu jaise logo ke liye h. ( koi b galti se ese apne liye na samjhe kyuki main punarjanam m vishvas nahi karti aur laila majnu aaj kal hote nahi h sab temporary hote h jisme thode waqt baad ya to laila badal jati h ya majnu )
" aasmaan ki koi sarhad nahi hoti,
pyar karne valo ki taqdeer nahi hoti.
zulm-e-zamane se pathar dil ho jate h,
ke zakhmo par b aankhen nam nahi hoti"
aaj ke mere dimag ke chemical loche ne agar apke dil m koi locha machaya ho to batayega jarur. as always waiting for response from all who read this. thanx and bbye

Monday, September 14, 2009

clg ki jindagi roj mast nahi hoti jaise aaj nahi the. magar pher b torgure jhelna padta h. actually aaj kal mere clg m dil tutne ka season chal raha h jisko dekho apni dukhad prem kahani ko lekar rota h . es ka best example h mera ek classmate jo aaj mere sath betha tha aur ro raha tha .REASON:DIL H KI MANTA NAHI.vo ek aise ladki ke liye rota h , apna sukh chain khota h jo uske bare m shayad ek second ke liye b nahi sochti kyuki vo usne usse kabhi baat nahi ki vo kuch nahi janta. to kya ye pyar h? sirf shakal dekhkar koi kise ko pyar kar sakta h ya ye sirf ek soch h ki mujhe use pana h? main ese pyar nahi manti. aap logo ka kya manna h?es serius baat ke bej m aaj us ladke ka gazab ka dialoque sunati hu " vo mujhe chahye".yaar ab vo koi gai bhais to h nahi ki us ke sath bhand de. LOVE AAJKAL ki paribhasha na koi aaj ka nahi koi kal ka samjha sakta h .
" dil to bht tuta h
vo kyu humse rutha h.
ae khuda hume b pathar dil bana de
kyuki dil m uska naam likha h
vo hume mile na mile hum ye nahi mangte
vo rahe sada khush yahi ek fariyad h karte"
ye mere us classmate ko dedicated h jo abhi pyar ke asle maiyne nahi samajhta aur jab samajh jayega to pher se nahi royega kyuki pyar rone ka nahi jindagi ko ek muskurahat bhari nazar se dekhna h.
bhashan jyada ho gaya ho to sry .

Sunday, September 13, 2009

hi! frnds . ye blog un sabhi ke liye h jinho ne apni clg life m masti ki aur jo abhi kar rahe h. clg m hum kya bante ye to pata nahi magar kuch bore teahers aur unke pakau lectures se hum m se bht sare cartoonist aur poet ban jate h. aise hi kuch khatna mere sath ghati aur ek engineer ban gae poetess . vaise to m bht bekar kavitri hu magar pher b un mahan teachero davara kiye gae emotional atyachar se to ye poem hi achi h. es poem ki neev rakhi gae ek ghatna se. bht purani baat h mera ek dost h jo angreji sekhne jata tha hume use chidane m bht maza aata tha ,ek din usne apni angreji ka jalwa dikhya ek chit likh kar hum tak pahuchaya, chit m kia tha mere dost ko sambodhit laken jab mila jawab to vo ho gae chiit.chit m likha tha"she is like a black horse . she has so much knowledge but she hides his knowledge" .maine use bhadkaya ki usne ghoda kaha vo b kala . sunkar mere dost ka chad gaya para aur kah dia usne main nahi ghodi tu h kutta kala . baad m samjh aaya ye kya kar dala chupa rustam( black horse) kahne ka itna bada jurmana. ese ghatna se prerna mujhe mile aur maine b ek kavita likh di.

" yeh kahani h ek kutte aur ghode ki,

ek pyare se sundar se jode ki.

dono ka hi rang tha kala,

ek dusre par mohabbat ka rang dala.

dono ke bej the bht duri, ( kyuki unke dono ke bej m main aur mere tarah golupolu mere ek frnd bethe the to duri kuch jyada hi ho gae the)

ek tha nur dusri uski nuri.

dono ke mohabbat ek din rang laye ,

dono ko yade b kali kali hi aaye. ( dono ne ek dusre ko chit pass kar rahe the to to sneha ne badal se kaha ki kalle kutte ki kali yaad m khoye hu)

i hope jo b es blog ko padhe enjoy kare . ye mera pehla blog h to shayad mera presentation acha na ho so i apologize if i have done some mistake. plz post your comments either negative aur positive. i will b glad to hear your response.